Poetry SMS...
Dabbay main dabba dabay main khargosh
Dabbay main dabba dabay main khargosh,
Uncle nay aankh mari aunty bay-hosh…;):D:D
ISHQ wahi hai jo ho ektarfa
ISHQ wahi hai jo ho ektarfa,
IZHAR e ishq to khwahish ban jaati hai,
HAI agar ishq to aankho mein dekho,
ZUBAN kholne se ye numaish ban jaati hai.
Mujhe dekh kar chehra ghuma lete hai,
Mujhe dekh kar chehra ghuma lete hai,
Mujhe dekh par nazrein phira lete hai,
Par ek baat par ghaur unkay kartey hai,
Baatain ghairon ki, qasmain mere naam ki kha leti hai.
Yeh duniya 1 chota sa khuwab hai.
Yeh duniya 1 chota sa khuwab hai.
Jiyo apni zindagi aise,
jaise ji raha gulab hai.
Reh kar sath aap kaanto k bhi,
muskurao hamesha jaise muskurata gulab hai.
Ye jis ka ho wo nishani bata kar lai jai
Khulle paare hain meri zindagi kay saare warq
Najane kab koi aandhi ura kar lai jaii
Kisi ka dard kahan tak apnay pass rakhon
Ye jis ka ho wo nishani bata kar lai jai
Missed call to ek bahana hai
Missed call to ek bahana hai,
Irada to aapka ek lamha churana he,
Aap chahe humse baat karo ya na karo,
Aap ki yadon mein humara ana jana hai.
Meri chup se naraz na hua karo
Baray hi sarfrosh hua kartay hain,
Haqiqaton ki aaghosh huwa karty hain,
Meri chup se naraz na hua karo,
Gehray samunder hamesha khamosh howa kartay hain
Kaisay guzarti hay raat meri
Kaun kehta hay k teri yaad say ghafil hay Saquib
Bister ki har shikan se poch kaisay guzarti hay raat meri..!
Bin tery meri zindagi baynaam si
Mery wajood se lipti khushbo tere naam ki hai
Meray dil me basi her ek dharken tery naam ki hai
Itna yaqeen ker lay meray hamnasheen
Bin tery meri zindagi baynaam si hai
kal anjaan ban kar paas se guzar gai
kabhi wo hum pe jaan dia karti thi
jo kehtay they wo maan lia karti thi
kal anjaan ban kar paas se guzar gai
Woh jo door se pehchaan lia karte thi
Har sham sey tera izhaar kiya kartey hain
Har sham sey tera izhaar kiya kartey hain,
Har khuwab mein tera didar kiya kartey hain,
deewanay hi to hai hum tere,
Jo har waqt tere milnay ka intzaar kiya karte hain.
Mana ke bhool jana aapki fitrat hai sahi,
Mana ke bhool jana aapki fitrat hai sahi,
magar hamain bhool jana apki qismat me nahi,
chahoTo aazma k daikh lo,
khud ko bhul jaoge par hamain nahi.
Haath haaton say choot’ta kub hay?
Haath haaton say choot’ta kub hay?
Koi apnon say rooth’ta kub hay?
Jo bhi jur jaata hay aik baar,
Phir woh RISHTA toot’ta kub hay?
us ne mehsoos bhi na honey diya
us ne mehsoos bhi na honey diya,
yun kahani ka rukh moor diya,
milney julney main ki kami pehley,
phir rafta rafta hamein hi choor dya
Zinda Hi Maar Gaye.
Dilon Se Khelne Ka Hunar Hamein Nahi Aata,
Isliye Ishq Ki Baazi Hum Haar Gaye,
Meri Zindagi Se Shayad Unhe Bohot Pyar Tha,
Isi Liye Mujhe Zinda Hi Maar Gaye.
Men CHAAND Hoon Insaan Nahi
Raat Ka Aakhri Pehar Tha…!
MuJh Se Chaand Ne Kaha’
Humnasheen Alvida’
MuJh Ko Neend Aa Rahi Hai’
Kal Milain Ge isi Jagah’
Men Sun Kar Muskura Diya’
Us Ko Batla Diya’
Jaanay walay Lout’tay Nhi’
Tum Nhi aao Ge’
MuJhe Hai Yaqeen’
Meri Baat Sun Ke Woh Ruk Gaya’
Aur Kehnay Laga’
Tum Se Wada Karoon’
Phir Poora Na Kroon’
Aisa Mumkin Nhi’
Sun Aey HumnasheeN’
Men CHAAND Hoon Insaan Nahi
Apne hone ka pata de dena
Apne hone ka pata de dena
kabhi guzro to sada de dena
yaad Aa jaon ibadat main Agar
hath utha ke bus Dua de dena..
Na ho aapki muskan kam
Mil jaati hai kitno ko khushi,
Mit jaate hai kitno ke gham,
SMS is liye bhej rahe hai hum,
Takay door rah kar bhi na ho aapki muskan kam.
Khushi ki muddat
Meri khushi ki mudat itni he Faraz
Guzar jati he mere muskurani se pahle
Sardiyon ka chand
Kuch Is Liye Bhi Raat Ko Ghar
Se Nikal Aata Hon Main
Sardiyon K Chand K0
Ehsas Na H0 Tanhayi Ka
Baatein Meri yaad ayengi itni
Tujhe Pyar Mera Satayega Aksar.
Yaado ke toofa uthayega aksar.
Zikar mera karne se pehle.
tu Kuch soch ke muskrayega aksar.
Mera Naam likh kar Kitabo main apni.
tu Logon ke dar se Mitayega Aksar.
Baatein Meri yaad ayengi itni.
Jitna tu unhain Bhulayega Aksar.
Hum to pagal hain
Rat gehri hai dar bhi saktey hain
Hum jo kehtey hain kar bhi saktey hain
Aap jo roothey to itna bhi na soocha
Hum to pagal hain mar bhi saktey hain
Wo naam tumhara hay
Koi chaand sitara hay
Koi phool se pyara hay
Koi khushi ka ishara hay
Koi dil ka sahara hay
Tumhai’n itna batana hay
Wo naam tumhara hay
Wo aur kia daikhay
Tere siwa bhi kai rung
Khush nazar thay magar
Jo tujh ko dekh chuka ho
Wo aur kia dekhey … !!!
Such kahon…
such kahon apni muhabat pay nidamat ci hoi….
jub bhi dekhi teri utri hoi sorat hun ny…..
Suna hai mere baad…
Suna hai mere baad ab wo Hansta b nahi hai
Badal geya hai ab wo Pehle jaisa Bhi nahi hai
Sab keh rahe hain Mujh se lout aao or usay sambhalo
K tere baad wo kisi ki Sunta bhi nahi hai
Kion Ghareeb Samjhte Hain ??
Kion Ghareb Samjhte Hain Hame Ye Dunia Wale Faraz????
HArzar Dard Ki Dolat Se Mala Maal Hain Hum!!!!!
Bheegi Ankhein
Saleeqa ho agar Bheegi ANKHON ko parrehnay ka FARAZ
To behtay howe AANSU bhi aksar baat kerte hain
Wo shakhs mujhe yaad ata hai
Itna Tasalsul to meri sanson mein b nai FARAZ
jis rawani se wo shakhs mujhe yaad ata hai
Kya baat hai
Kitabo k panno ko palat k sochta hu
u palat jaye meri zindagi to kya bat hai,
khwabo me roz milti hai jo
hakikat me aaye to kya bat hai
Tanhaian kash na hotien
Mehfil k rang aur hote Tanhaian kash na hoten
Itne be rang na hote Judaian kash na hoten
Aisa ehsas na hota tere narm o nazik badan ka Shah
Aalam e madhoshi main pakri kalaian kash na hoten
Faqat ek baat kehna chahta hun
Faqat ek baat kehna chahta hun
Teri ankhon main rehna chahta hun
Bohat jaag chuka hun tere hijr main
Tere anchal main sona chahta hun
Zamane bhar ki khushian aur ter gham
Ye gham kuch aur sehna chahta hun
TERE YAAD
Chandani raat me our bhi shiddat se aaye gi us ki yaad
Behtar hai faraz so jana sham se pehle.
Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete
Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete,
har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete,
apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain,
karte bayan to mehfil ko rula dete.
Tujhe Bhi Humari Yaad Ajaye
Sehme Labo Pe Koi Masoom Faryad Ajaye
Koi Khushi Ab In Ghamon Ke Bad Ajaye
Pal Pal Mehsoos Hoti Hai Teri Mojodgi
Kisi Lamhe Tujhe Bhi Humari Yaad Ajaye,
Aaj Tak Nahin Kaha Aapse
Teri Tishnagi Mein Choor Hain Hum,
Aaj Tak Nahin Kaha Aapse
To Ye Mat Samajhna Maghroor Hain Hum,
Ho Na Jao Aap Door Humse
Bas Isi Baat Ko Lekar Majboor Hain Hum
Aankhain bheeg jati hain
Ghamon k selaab tu pehle bhi bardasht kr lete thy Saqi
Par ab tu ek katray se bhi aankhain bheeg jati hain
Jab bhi aap se milne ki Taqdeer nazar aayi
Jab bhi aap se milne ki Taqdeer nazar aayi,
Mujhe Paon mein bandhi Zanzeer nazar aayi,
Teri Yaadon mein nikal parey Aansu,
Har Aansu mein teri Tasveer nazar aayi.
Jab tak thokar na lagay bewafai ki
Har dharkan mein ek raz hota hay,
har baat ko batane ka ek andaz hota hai,
jab tak thokar na lagay bewafai ki,
har kisi ko apne pyar par naz hota hai.